Taron ki chilmano se koi jhankata bhi ho Is kaynat mein koi manjhar naya bhi ho, Itni shyah raat mein kisko sadayen du Aisa chirag de jo kabhi bolta bhi ho, Saare pahad katkar main milne aaunga Han mere intezaar mein dariya ruka bhi ho, Rango ki kya bahar hai pathar ke baag mein Lekin meri zamee ka ek hissa hara bhi
Bas Aur Do Kadam Mere Saath Chalna Yaaro, Us Se Aage Main Khud Tumse Bichhud Jaaunga, Aage Intezaar Kar Rahi Hai Mahbooba Mout Meri, Uske Saath Main Khud Tumse Aage Nikal Jaaunga
Eh Mout Thahar Ja Tu Jara, Yaar Ka Intezaar Hai Mujhko, Aayega Woh Jarur Aaj Agar, Us Se Sacha Pyar Hai Mujhko
Rooth Jaye Agar Koi Toh Mana Lo, Tutne Na Do Ghar Apna Basa Lo, Agar Dushman Bhi Mile Raah Mein Kabhi, Toh Usko Bhi Yaar Gale Laga Lo
Jubaa Agar Ashkon Ki Samjho Toh, Yeh Sab Kuchh Kah Jaate Hain Yaaro, Dil Ke Bojh Ko Karte Hain Halka, Khud Sabke Gham Sah Jaate Hain Yaaro
Is Nazar Ko Tera Intezaar Rehta Hai Dil Tumse Milne Ko Beqaraar Hota Hai Tum Hamse Milo Na Milo Phir Bhi is Dil Main Teri Dosti Ka Pyar Rehta Hai
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Ikraar Hota Hai Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Inkaar Hota Hai, Tanhai Ko Tum Bebasi Ka Naam Na Do, Kyunki Ishq Ka Doosra Naam Hi Intezaar Hota Hai
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai, Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti, Tamanna Le Kar Jeete Hai Sab Log, Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti
Kab Tak Pyaar Ke Ek Pal Ka Intzaar Karna Hoga; Kab Tak Iss Intzaar Ki Aag Mein Yunhi Jalna Hoga; Mere Dil Se Abb Sabar Aur Na Hoga; Akhir Kab Tak Tumhare Saath Ek Pal Jeene Ke Liye; Mujhe Yunhi Pal Pal Marna Hoga!
Jhonka Idhar Na Aae Naseem-E-Bahar Ka; Naazuk Bagut Hai Phool Chiragh-E-Mazaar Ka; Phir Baithe Baithe Waada-E-Wasl Us Ne Kar Liya; Phir Uth Khara Hua Wohi Rog Intezaar Ka!
Nazar Chahti Hai Didaar Karna; Dil Chahta Hai Pyaar Karna; Kya Batayein Iss Dil Ka Aaalam; Naseeb Mein Likha Hai Intezar Karna!
Intezaar To Bahut Tha Humein; Lekin Aaye Na Woh Kabhi; Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate; Agar Hota Unhe Bhi Intezaar Kabhi!
Ruthi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai; Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota Hai; Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne; Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!
Itna Aitbaar To Apni Dhadkanon Par Bhi Humne Na Kiya; Jitna Aapki Baaton Par Karte Hain; Itna Intezar To Apni Saanson Ka Bhi Na Kiya; Jitna Aapke Milne Ka Karte Hain!
Jeene Ki Khwaish Mein Har Roz Marte Hain; Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain; Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada; Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain!
Aap Ki Nigah Agar Meharban Ho Jae; Main Jis Zameen Pe Hoon Woh Asman Ho Jai; Hai Ab Bhi Aap Ko Shak Mere Dosti Par; To Phir Ik Baar Mera Imtehaan Ho Jai!
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye; Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye; Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka; Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye!
Wafaa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai; Woh Sach Kahe Na Kahe Aitbaar Karna Hai; Yeh Tujh Ko Jaagte Rehne Ka Shauq Kab Se Hua; Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna Hai!
Mohabbat Ka Imtihan Aasan Nahi; Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi; Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezar Mein; Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi!
Intezar To Bahut Tha Humein; Lekin Aaye Na Woh Kabhi; Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate; Agar Hota Unhe Bhi Intezar Kabhi!
Roothi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai; Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota Hai; Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne; Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!
Intezar Rehta Har Shaam Tera; Yaadein Katati Hain Le-Le Kar Naam Tera; Muddat Se Baithe Hain Yeh Aas Paale Dil Mein; Ki Aaj Aayega Koi Lekar Paigaam Tera!
Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai; Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai; Iss Umeed Ke Saath Ki Aayega Kabhi Paigam Aapka; Humne To Har Pal Darwaze Par Nazrein Tika Rakhi Hain!
Uske Intezar Ke Maare Hain Hum; Bas Uski Yaadon Ke Sahare Hain Hum; Duniya Jeet Kar Kya Karna Hai Ab; Jise Duniya Se Jeeta Tha, Aaj Usi Se Haare Hain Hum!