Yeh Judaiyon Ke Raste Bari Door Tak Gaye Hein Jo Gaya Wo Phir Na Aaya Meri Baat Maan Jao
Bahut Nazdeek Hokar Bhi Bahut Door Hai Wo Mujhse, Ishara Bhi Ho Nhi Sakta Pukara Bhi Ja Nahin Sakta
Ajeeb Tarah Se Socha Tha Zindgi Ke Liye, Jeena Marna Tha Sirf Usi Ke Liye, Wo Mujhko Tanha Chod Gyi To Yaqeen Aaya, Ki Koi Bhi Nahi Marta Kisi Ke Liye.
Is Shaam Ne Deelayi Hai Yaad Kisi Khaas Ki, Jisko Paane Ki Mujhe Aas Thi, Woh Toh Na Mili Per Unka Ehsaas Saath Hai, Yaadon Mein Hi Sahi Per Woh Aaj Bhi Mere Paas Hai
Wohi Shaksh Mujhe Zindagi Bhar Ke Liye Udaas Kar Gaya, Jo Har Roz Kehta Tha Tumhare Chehrey Pe Udaasi Achi Nahi Lagti..
Koi Pakar To Koi Khokar Juda Hota Hai, Koi Hanskar To Koi Rokar Juda Hota Hai, Magar Juda Hone Ka Dard Tab Hota Hai, Jab Koi Kisi Ka Hokar Juda Hota Hai
Unka Badal Jana Humein Gawara Na Tha, Unke Bina Hamara Koi Sahara Na Tha, Socha Tha Ki Hai Wo Mukaddar Me Mere, Magar Wo Mukaddar Bhi Humara Na Tha.. -Sachin Malhotra
Mehdood Kar Day Hamy Khud Main O Jana Bin Tery Jaa Bajaa Bikharty Hain Ham .
Kitni Raatain Beet Gyi..! Kitnae Din Beet Gaye..! Bss Nai Beeta..! Yadoon Ka Wo Pal..! Wo Guzra Hua Kal..! Nahi Beete To Ankhoon Ke Nami Or Tere Kami!!
Faaslay Barhay To Ghalat fehmian Bhi Barh Gai Usne Wo Bhi Suna Jo Main ney Kaha He Na Tha..
Jab Bhi Unki Gali Se Guzarta Hoon, Meri Ankhein Ek Dastak De Deti Hai, Dukh Ye Nahi, Wo Darwaja Band Kar Dete Hai, Khusi Ye Hai, Wo Mujhe Ab Bhi Pahchan Lete Hai.
Aisi Tnhayi Na Thi Uske Aane Se Pahle Na Kabhi Aisa Gum Hamne Dekha Tha Sanam Kahte He Khuda Bhi Rota Rha Tha Kai Dino Tak Jab Us Bewafa Se Juda Huye The Hum Kahti Thi Tere Bagair Toot Jaoungi Mai Uska To Hame Pta Nhi Par Kanch Se Bhi Buri Trah Toote Hum
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Yeh Aeib Chupa Hai Main Jis Shakhs Ko Choo Loon Wo Mera Nahi Rehta.
Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nhi Badte, Dur Hone Se Ehsas Nhi Marte, Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech, Lekin Aisa Koi Pal Nhi Jab Hum Apko Yad Nhi Krte..
Sochte Hai Ki Tumhe Kabhi Na Soche. Lekin Bhulane K Liye Bhi Tum Hi Yaad Aate Ho.
Tum Se Toh Khair Ghadi Bhar Ki Mulaqat Rahi, Log Toh Sadiyon Ki Rafaaqat Ko Bhula Dete Hain.
Ye Mat Socho Ke Tum Chorr Dogey To Toot Jaungi, Wo Bhi Jee Rahay Hain Jin Ko Teri Khatir Hum Ne Chorra Tha..
Rokna Meri Hasrat Thi Aur Jaana Uska Shonq. . . Woh Shonq Pura Kar Gaya Meri Hasrate Tod Kar.
Rafta Rafta Wakt Se Majbur Hote Gaye Boht Pyar Tha Tumse Or Tumse Hi Door Hote Gaye Humne Iliteja Ki K Tumhare Bin Wakt Nhi Guzerta Ye Sun Kar Tum Bhi Thora Majbur Hote Gaye Tumhari Judai Ko Bardasht Na Ker Paye Hum Dil O Dimag Se La Shaur Hote Gaye Ye Kesi Muhabat K
Aaj Bhi Soona Pada Hai Har Ek Manjar, Tere Jaane Se Sab Kuch Veeran Lagta Hai, Us Raaste Pe Aaj Bhi Hum Teri Raah Dekhte Hain, Jahan Se Tera Laut Aana Aasaan Lagta Hai
Kal Paigaam Aaya Ki Wo Basa Rahe Hain Ghar Apna, Phir Aisa Kyu Laga Jaise Meri Duniya Ujarr Gayi..
Bhoolein Hain Rafta Rafta Unhein Muddaton Mein Hum, Kishton Mein Khudkhushi Ka Mazaa Hum Se Poochiye..
Ek Aarzoo See Hai Ki Unhe Bhool Jayein Hum, Magar Unki Yaad Aati Hai Ye Hasrat Haar Jati Hai.
Tu Mujhse Door Sahi Par Judaa Kabhi Na Hua, Aaj Bhi Tera Saaya Har Pal Mere Saath Rehta Hai.