Dooriyan hii Dillon ko nazdik latii hein.. Dooriyan hi 1 doje ko yaad dilati hein.. Door hokr bhi koi kitna karib hai.. Dooriyan hii iss batt ka ehsaas dilati hein..
Na samjho ki hum bahut khush h apni zindagi me ye khush rehne ka nakaab to apno ki khushi ke liye laga liya varna khud ko to humne barso pehle.kahi veerane me dafna diya
Hum Whiskey Nahi Pite, Hum Rum Bhi Nahi Pite Hum Gam Bhulane Ke Naam Pe, Jaam Hi Nahi Pite Aggar Mil Jaye Yaaron Ki Mehfil To Khuda Ki Kasam, Hum Kisi Se Kam Nahi Pite!
Mehfil ajeeb thi wo manjar ajeeb tha... Usne jo chalaya wo khanjar ajeeb tha.. Kaise ham keh de yaaro bewafaa unko... Uss waqt unki aankhon ka samundar ajeeb tha..
Hum Ai Hai Ap Ki Mehfil Mai Humara Salam Kabool Kigeye Ga Har Muskil Gari Mai Ao Humara Sath Zaroor Digeye Ga Jab Ruhksat Ho Jai Is Duniya Se To Humari Qabar Pe Dua Zaroor Kigeye Ga
Mehfil K Rang Aur Hote ,Tanhaian Kash Na Hoten Itne Be Rang Na Hote ,Judaian Kash Na Hoten Aisa Ehsas Na Hota Tere Narm O Nazik Badan Ka Aalam E Madhoshi Main Pakri Kalaian Kash Na Hoten
Veeraan Hai Mehfil Meri Jab Se Tum Gaye Ho Bujh Gayi Hai Saari Roshni Jab Se Tum Gaye Ho Andheron Ke Saaye Mein Hai Rooh Meri Roshni Ne Chhora Daaman Jab Se Tum Gaye Ho.
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
Sari Umar Ankho Me Ek Sapna Yaad Raha, Sadiyan Beet Gayi Jisme Wo Lamha Yaad Raha, Na Jane Kya Baat Thi Unme, Sari Mehfil Bhul Gaye Bus Wo Hi Ek Chahra Yaad Raha
Main Dil Banke Tujh Me Dhadkungi Main Khushbu Ban Ke Teri Saanso Me Mehkungi Tere Har Aansu Ko Pee Jaungi Tere Chehre Ko Muskaan Se Sajaungi Na Tujhe Khud Se Dur Jaane Dungi, Na Khud Tujhse Dur Jaungi.
Tujhe Muhabbat Karna Nahi Ata, Mujhe Muhabbat K Siva Kuch Nahi Ata. Pyar Karne K B Do He Tareekay Hein, Aik Tujhe Nahi Ata Aik Mujhe Nahi Ata
Abhi Mehfil Mein Nazar Aate Hain Naadim Chehere, Lau Chiraaghon Ki Zara Aur Ghataa Di Jaye..
Bas ek raat theherna hai kya gila kijiye, Musafiron ko ghaneemat hai yeh saraye bohat..
Parr gaya parda samaaat per teri awaaz ka, Aik aahat kitne hangaamon pe haawi ho gayi.
Gham-e-hayaat pareshaan na kar sake ga mujhe, Ke aageya hai hunar mujh ko muskuraney ka.
Hum tujh se alag reh ke bhi rehte hain tere paas, Hote hain teri bazzm main hotey hian jahaan bhi.
Mujhe Yaqeen ke Tum Munfarid Ho Auron Se,, Tumhain Gumaan Ke Shayad Main Auron Jesa Hoon.
Ae Kaash, Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Karey, Tujhy Dekhney k Siwa Na Mujhy Koi Kaam Hua Karey.
Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat, Har baat ko alfaaz mein tola na karo.
Koi betaab koi mast koi chup koi hairaan, Teri mehfil mein ik tamaasha hai jidar dekho..