Khuda ki fursat me ek pal aya hoga, Jab usne ap jese pyare insan ko bnaya hoga, Na jane kounsi dua kubool huyi hamari, Jo usney aap ko humsey milaya hoga.
Mere Jeene ki nayi aas ho tum, Meri Zindagi ki pyaas ho tum, Dhundta h dil jise besabr hokar, Zindagi ki wo talash ho tum.
Aapki yaad hi meri jaan hain, Shayad es haqeeqat se aap anjaan hai, Mujhe khud nahi pata ki mai kaun hu, Aap ka pyaar hi meri pehchan hain.
ukun apne dilka maine kho diya, Khud ko tanhai ke samandar mai dubo diya, Jo thi mere kabhi muskrane ki wajah, Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya.
Akela sa mehsoos karo jab tanhaai mein, Yaad meri aaye jab judaai mein, Mehsoos karna tumhare hi paas hoon main, Jab chaahe mujhe dekh lena apni parchai mein.
Chote se dil mei arman koi rakhna, Duniya ki bhid mei pehchan koi rakhna, Achhe nahi lagte jab rehte ho udas, Apne hoto pe sada muskaan wahi rakhna.
Kisi ke deedar mai tadapta hai yeh dil, Kisi ke intezar mai tarasta hai yeh dil, Kya kamaal ka hai yeh dil, Khud apna ho kar bhi kisi aur ke liye dhadakta hai yeh dil.
Mujhko phir wahi suhana nazara mil gaya, Nazron ko jo deedar tumhara mil gaya, Aur kisi cheez ki tamanna kyun karu, Jab mujhe teri baahon mein sahara mil gaya.
Hasrat hain sirf tumhey paaney ki, Aur koi khawahish nahi is deewane ki, Shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai, Kya zarurat thi tumhe itna khubsurat bnane ki.
Kuch to baat hai tujme jo tujhe yaad krne ko ji chahta hai, Kuch khas hai jo tujhe bahon me bharne ko ji chahta hai, Hum tere kareeb hai ya nhi ye jante nhi hai magar dilbar, Fir bhi mohabbat mein hadd se guzarne ko ji chahta hain.