Haskar Dekha Rokar B Dekh Liya Pakar Dekha Khokar B Dekh Liya Pyar B Kiya Or Jaan B Liya K Zindgi Wahi Ji Skta HE Jisne Akele Jina Sikh Liya
Mujhe dard-e-ishq ka mazaa maloom H Dard-e-dil ki inteha maloom H Zindagi bahar muskurane ki dua naa dena Mujhe pal bahar muskurane ki sazaa maloom H
Hadse banke log yahaan mila karte H Zakhm dene ke hi saaman diya karte H Roz gir jaati hai deewar tere wadon ki Roz hi hum maut ke saaye mein jiya karte H.
Sapne saare tod kar baithe H Dil ka armaan chhod kar baithe H Na kijiye humse wafa ki baatein Abhi-abhi dil ke tukde jod kar baithe H
Ped se patte girte H Uthanewala koi nahin Pyar to sabhi karte H Lekin nibhanewala koi nahin
Jis DIL mein basa tha pyar tera Woh dil to kabhi ka tod diya Badnaam na tujhe hone denge Tera naam bhi lena chhod diya!
Kaash koyi hum par bhi itna pyaar jatati, Piche se aakar wo hamari ankho ko chupati, Hum puchhte ki kaun ho tum…?? Aur wo has kar khudko hamari jaan batati.
Ek chhoote se sawal par Itni khamoshi….????? Bas itna hi toh puchha tha- “Kabhi wafaa ki h kisi se…” ??
Sard raaton ko satati hai judai teri Aag bujhti nahi seene mein lagayi teri Tum jo kehte the bichar kar main sukun paa lunga Phir kyu roti hai mere dar per tanhayi teri..!!
Sard mausam ka maza kitna alag sa hai, Tanha raat mein intazaar kitna alag sa hain, Dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko, Unki tanhaai ka ab ehsas kitna alag sa hai..!
Zindagi hai nadan isliye chup hoon, Dard hi dard subah sham isliye chup hoon Keh du zamane se dastan apni, Usme ayega tera naam isliye chup hoon.
Woh khush hai par shayad hum se nahi Woh naraz hai par shayad hum se nahi Kon kehta hai unke dil me mohabbat nahi Mohabbat to hai par shayad humse nahi.!!
Is aas me chala jaunga main ye jahan chor kar Ke shayad mera marna hi kuchh kaam aayega Shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar Jis pal tere paas meri maut ka paigam aayega..!
Kuchh cheeze hum purani chhod aaye hain, Aate aate uski aankho me paani chhod aaye hain, Ye aisa dard hai jo bayaa ho hi nahi sakta… Dil to saath le aaye dhadkan chhod aaye hain…!!
Na wo aa sake, na hum kabhi ja sake, Na dard dil ka kisi ko suna sake, Bus khamosh baithe hain unki yaado me, Na usne yaad kiya na hum use bhula sake.
Sanson Ki Dor Chhutati Jaa Rahi Hai, Kismat Bhi Hume Dard Deti Jaa Rahi Hai, Maut Ki Taraf Hain Kadam Hamare, Mohabbat Bhi Hum Se Chhutati Ja Rahi Hai…
Meri Mahbooba Hum Tujhe Salaam Karte Hain, Fir Bhi Aap Hamein Yun Badnaam Karte Hain, Pyar Jatakar Dil Ko Dard Dena Pyar Mein, Jaanvaron Se Ghatiya Kaam Yeh Insaan Karte Hain…
Kaun Hai Woh Jo Dil Mein Samaye Jata Hai, Dard Dekar, Ghar Garon Ka Basaye Jata Hai, Mehandi Rachakar Chala Gaya Hai Pardesi, Khud Apne Daaman Mein Woh Daag Lagaye Jata Hai…
Kismat Yeh Mera Imtehaan Le Rahi Hai, Tadpakar Yeh Mujhe Dard De Rahi Hai, Dil Se Kabhi Bhi Maine Use Door Nahi Kiya, Fir Kyun Bewafayi Ka Woh Ilzaam De Rahi Hai…
Apno Ke Beech Begaane Ho Gaye Hain, Pyar Ke Lamhe Anjaane Ho Gaye Hain, Jahan Par Phool Khilte The Kabhi, Aaj Wahan Par Veerane Ho Gaye Hain….
Nazron Se Dekho Toh Aabad Hum Hain, Dil Se Dekho Toh Barbaad Hum Hain, Jeevan Ka Har Lamha Dard Se Bhar Gaya, Fir Kaise Kah Dein Aazad Hum Hain…
Mehandi Ke Bahane Khoon Laga Rahe Hain, Khud Ki Taarifon Ke Pul Bana Rahe Hain, Kitne Khudgarj Hain Rangeen Mahfilon Waale, Mujhe Dard Dekar Apne Gunaah Chhupa Rahe Hain…
Aashiq Ke Naam Se Sabhi Jaante Hain, Itna Badnaam Ho Gaye Hum Maykhane Mein, Jab Bhi Teri Yaad Aati Hai Bedard Mujhe, Toh Peete Hain Hum Dard Paimane Mein…
Gilash Par Gilash Bahut Toot Rahe Hain, Khusi Ke Pyale Dard Se Bhar Rahe Hain, Mashalon Ki Tarah Dil Jal Rahe Hain, Jaise Zindagi Mein Badkismati Se Mil Rahe Hain…