Zindagi ki haqiqat sirf itni hoti hai Jab jagta hai insan tho kismat soti hai insan jispar apna haq khudse jyada samajta hai wo amanat aksar kisi aur ki hoti hai
Humari Galtiyo Se Kahi Tut Na Jana, Humari Shrarat Se Kahi Ruth Na Jana, Tumhari Dosti Hi Humari Zindagi He, Is Pyare Se Bandhan Ko Bhul Na Jana.
Kyun Koi Chah Kar Mohabbat Nibha Nahi Pata Kyun Koi Chah Kar Rishta Bana Nahi Pata Kyun Leti Hai Zindgi Aisi Karwat. Ki Koi chah Kar Bhi Pyar Jata Nhi Pata.
Hamari Zindgi hai dosto ki Amaant Rakhna mere Khuda sada unko salamat. Dena unhe khushian sare jahan ki Ban jaye woh Taarif har ek Zubaan ki.
Zindgi ek safar hai, Mujhe chalte jana hai Mil jaaygi manjil mujhe, gar saath tumhara hai.
Lamha lamha waqt gujr jayega, Rooh ka daman bhi sath chod jayega, Pal do pal hai sath guzaar lo, Kab jane kon kiska sath chod jayega.
Jitna mazaak dunia udati hai utni hi takdeer jagmagaati hai, jab karam khuda ka hota hai, toh aey dost zindgi pal bhar mein badal jaati hai
When life gives you a hundred reasons to cry. Show life that you have a thousand reasons to smile. . . Keep smiling always and make you and other happy.
Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo, Har raat to subah ka intzar karo, Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai aapko, bas RAB pe bharosa aur waqt pe aitbar karo
phool ban ker muskurana zindagi hay Musura k ghum bhulana zindagi hay, Mil ker log khush hotay hain to kia howa Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
Zindagi mein kuch sapnay saja lena, Agar waqt mile to kuch armaan jaga lena, Hum aap ki raahon se sab Dard chupa leinge, Jab chahey hamain aazmaa lena.
Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati, marna chahte hai magar maut paas nahi Aati. Bahut Udaas hain hum is zindagi se, Kismat bhi Tadpaney se Baaz nahi Aati.
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki, Waqt har manzil dikha deta hai. Marta nahi koi kisi se juda hoke, Waqt sabko jina sikha deta hai.
Woh Jo Badli To Rubaro Badal Gaye Hum Bhi. Mohabbat Ki Thi Usey Bandagi To Nahi.. Faqt Zindagi To Hai Kat Jaye Gi Us k bagher.. Hasrat-e-Zindagi Thi Woh Shart-e-Zindagi To Nahi.
Zindagi zakhmo se bhari hai, waqt ko marham banaana seekhlo! Haarna to hai hi maut ke saamnay, filhaal zindagi se jeetna seekh lo!
Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain!
Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi; Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi; Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain; Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi!
Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai; Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai; Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf; Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai!
Kashish Honi Chahiye Kisi Ko Yaad Karne Kee; Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge; Waqt Hona Chahiye Kisi Ko Milne Ka; Bahane To Apne Aap Hi Mil Jaynege!
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye; Khade The Maut Kee Raah Pe Magar Jeena Seekh Gaye; Ab To Is Zindagi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai; Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye!
Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun; Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi; Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili; Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi!
Ruthi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum; Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum; Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To; Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!
Zindagi Tasveer Bhi Bhi Hai Aur Taqdeer Bhi; Farak To Bas Iske Rango Ka Hai; Mann Chahe Rango Se Bane To Hai Tasveer; Aur Aanjane Rango Se Bane To Hoti Hai Taqdeer!
Sikha Diya Hai Jahaan Ne Har Zakham Pe Hansna, Le Dekh Zindagi, Ab Tujhse Nahi Darte Hum!